Friday, November 13, 2009

kya kahoon?

aksar sochta hoon ki kuch kahoon
phir sochta hoon, kya kahoon?

sun sun k batein logon ki
thaga sa reh jata hai, kya kahoon?

ehsaas ke bawandaron mein aksar
bikhar ke reh jata hoon, kya kahoon?

chalo rehne do bas bahut hua
kisse kya sunoo, kisse kya kahoon?

No comments: