Sunday, January 20, 2008

Khoj...

Wo panktiya jo vyakt karein duvidha antaraatma ki
abhivyakti viheen dimaag ke andhero mein banti nahi

Mai masoomiyat ke sahare kaatu kab tak ye zindagi
Kab tak kahoo logo se ke mujhe hosh nahi?

Mai Himalay ki oochai aur sagar ki gehrai to naap bhi loo
Jeevan ke atoot sangharsh magar mujhe haasil nahi

Chalta rahunga mai phir bhi Jaisa use ho manzoor
Mai wo nahi mangoonga usse jo mere haq mein nahi..

3 comments:

suruchi said...

Bahoot Umda..!!

suruchi said...

there are few lines from shri Harivansh rai bachan's "madhushala"

"Likhi bhagya me jitni bas utni hi paega haala,
Likha bhgya me jaisa bas waisa hi paega pyala,
Laakh patak tu haath paav isse kab kuchh hone wala,
Likhi bhagya me jo tere bas wahi milegi madhushala."

suruchi said...

"likhi bhagya me jitni bas utni hi paega haala,
Likha bhagya me jaisa bas waisa hi paega pyala,
Laakh patak tu hath paav par isse kab kuchh hone wala,
Likhi bhagya me jo tere bas wahi milegi madhushala."