Sunday, January 13, 2008

Shayad sab maya hai....

Kal ek qasai ko murga katate dekha
Kaatne ke baad murge ka pankh khurechte dekha

wo pankh jinhein apna pet palne ko aatur qasai
tezi se khurechta hai, Jaldi katoo ise
kahi khareeddar apne eeman se na fir jae
Mujhe meri do joon ki roti se ruswa na kar jae

Ye dar us pakshi ke dar se zyada bhayanak hota hai
Mera kya hoga ye masla insaan ko saalta hai
Fir koi aur jeeye mare isse kya fark padta hai?

Kisi aur ki taqleef se mujhe kya vaasta
nahi janta insaan insaan insaan ki taqleef se na chah ke bhi juda hota hai
Aaj tum par to kal mujh par
Badqismati ka saaya kisi ko nahi chhodta hai

Aj kar lo beshak manmani jee bhar k
Kal palat waar hoga manamaniyo ki hogi adla badli
Kal tum sawaar the ghode par
Aaj hoga sawaar ghoda tum par

Ye faaslo ki duniya hai faaslo ko kabhi mitne na degi
Apne wajood se marhoom ho kar duniya duniya na rahegi
To kya yahi hai dastoor zindagi ka?
Kya nahi hai insaaf insaaniyat ka?

Sochta hoon aksar, gumsum, akela
Jawaab kaha milte hai asaani se
Aur jo de sakte hai wo kehte hai sab maya hai
Kisi ke kaha kucch kabhi samajh mein aaya hai


3 comments:

Anonymous said...

Kya baat kahi hai..

"jawab kaha milta hai aasani se
aur jo de sakta hai kehta hai"sab maya hai."

Aur ye jo insaani qasai hai wo janwar tak hi seemit nahi hai,Insaan hi yaha Insaan ka sabse bada dushman hai.
is insaan ko do linon ke maadhyam se kuchh kehna chahti hu.
"Toot jaata hu ek ghar banane me,
Tumko taras nahi aati bastiyaan
jalaane?"

Saurabh Dwivedy said...

Shukriya...

accha hai..toot jata hun ek ghar banane mein
tumko taras nahi aata ... bastiyaan jalane mein...

Bahut badhiya...kiska sher hai?

suruchi said...

yaad nahi. shayad kisi unknown shayar ki hai. bas youn hi zehen me aa gaya...