Kal ek qasai ko murga katate dekha
Kaatne ke baad murge ka pankh khurechte dekha
wo pankh jinhein apna pet palne ko aatur qasai
tezi se khurechta hai, Jaldi katoo ise
kahi khareeddar apne eeman se na fir jae
Mujhe meri do joon ki roti se ruswa na kar jae
Ye dar us pakshi ke dar se zyada bhayanak hota hai
Mera kya hoga ye masla insaan ko saalta hai
Fir koi aur jeeye mare isse kya fark padta hai?
Kisi aur ki taqleef se mujhe kya vaasta
nahi janta insaan insaan insaan ki taqleef se na chah ke bhi juda hota hai
Aaj tum par to kal mujh par
Badqismati ka saaya kisi ko nahi chhodta hai
Aj kar lo beshak manmani jee bhar k
Kal palat waar hoga manamaniyo ki hogi adla badli
Kal tum sawaar the ghode par
Aaj hoga sawaar ghoda tum par
Ye faaslo ki duniya hai faaslo ko kabhi mitne na degi
Apne wajood se marhoom ho kar duniya duniya na rahegi
To kya yahi hai dastoor zindagi ka?
Kya nahi hai insaaf insaaniyat ka?
Sochta hoon aksar, gumsum, akela
Jawaab kaha milte hai asaani se
Aur jo de sakte hai wo kehte hai
sab maya haiKisi ke kaha kucch kabhi samajh mein aaya hai