Saturday, April 11, 2009

Dard

kaise kaise dard sehte hai
phir bhi galat hum hi hote hai

duniya bahut samajhdar hai
akal ke bagair sirf hum hi hote hai

haan hum dushman hai apne
khud ko satate rehte hai

tumhari akal, tumhari soch, tumhari samajhdari mubarak ho tumhein
akal se humara kya waasta...hum yunhi theek hai...

2 comments:

Pallavi Marathe said...

Pata nahi kyun ise padhke purani gazal yaad aa gayi-
Apni to yeh aadat hai ki hum kuch nahi kehte,
Unko yeh shikayat hai ki hum kuch nahi kehte!
Kuch kehne pe tufaan utha deti hai duniya,
Ab ispe qayamat hai ki hum kuch nahi kehte!
Kehne ko bahut kuch tha agar kehne pe aate,
Duniya ki inayat hai ki hum kuch nahi kehte !!!

Unknown said...

wah kya kamaal ki shayri ki hai pallavi ji...
isi baatpe ek sher arj hai...shayar hai janaab aamil chandpuri....
mai hosh me tha to fir us pe mar gaya kaise, ye zaher mere lahoo me utar gaya kaise!!
jise bhulaye kai saal ho gaye aamil, mai aaj uski gali se gujar gaya kaise.....
amit chandak