Sunday, July 12, 2009

Kya Sochta hai...


Safar lamba hai
Taqleefein tamaam hai
Thakne ka naam na le re man
Aaraam haraam hai

Kya sochta hai
Kyu sochta hai
Hone de jo hota hai
Sab accha hi hota hai

Kiya hi kya hai
Jo aaj karne ki thani hai
Ghatata jo kucch hai
Mehez Niyati ki manmaani hai

Aise mausam mein
le maza chaandni ka, fir zindagani ka kya
Jaha se ubhari hai
Wapas usi mein jani hai